Ishwar Allah Lyrics | FUSEMUSIC
March31,2019

Ishwar Allah Lyrics
                         FUSE MUSIC

Song : Ishwar Allah Singer : Suvarna Tiwari Music : Hitesh Modak lyrics : Lavraj

Image result for ishwar allah lyrics pm narendra modi




Ishwar Allah Lyrics

Ishwar allah
Ishwar allah
Bewajah hai fizaa mein
Rask yahan hai
Roota hai chupke kyun
Sach bejubaan hai
Teri nazar mein
Ek sabhi dil
Ishwar allah tere jahaan mein
Nafrat kyun hai?
Jung hai kyun?
Tera dil toh itna bada hai
Insaan ka dil tang hai kyun?
Allah..
Kadam kadam par
Sarhad kyun hai?
Saari jameen jo teri hai
Suraj ki fere karti hai
Phir kyun itni andheri hai?
Is duniya ke daaman par
Insaan ke lahoo ka rang hai kyun?
Gunj rahi hai kitni cheenkhein
Pyar ki batein kaun sune?
Tutt rahe hai kitne sapne
Inke tukde kaun chune
Dil ke darwajo par taale
Taalo par ye jung hai kyun?
Ishwar allah..
Ishwar allah..





Comments

Popular posts from this blog